kuchh  izāla  to  kareñ  aap  bhī  taḌpāne  kā
dil  jo  toḌā  hai  to  phir  sochiye  harjāne  kā
na  koī  ashk  na  baazū  na  koī  zulf  nasīb
koī  masraf  nazar  aayā  nahīñ  is  shāne  kā
raat  kyā  ḳhuub  tamāsha  thā  galī  meñ  un  kī
shaiḳh-jī  pūchhā  kiye  rāsta  mai-ḳhāne  kā
do  ghaḌī  dil  to  bahal  jaatā  hai  tasvīr  ke  saath
mas.ala  hal  nahīñ  hotā  tire  dīvāne  kā
vasl  meñ  qurb  kī  lazzat  se  bhī  mahrūm  rahe
us  pe  ehsāñ  bhī  rahā  aap  ke  aa  jaane  kā
is  salīqe  se  gayā  haath  chhuḌā  kar  zālim
ki  nasha  lams  kā  thā  dukh  thā  bichhaḌ  jaane  kā
saath  aisā  thā  mayassar  ki  safar  kaTtā  gayā
ham  ne  sochā  hī  nahīñ  raah  meñ  sustāne  kā
sham.a  ne  dekh  ke  hī  lau  bhī  baḌhā.ī  hogī
har  patiñge  meñ  kahāñ  zarf  hai  jal  jaane  kā
aap  ke  chehre  kī  tamsīl  kahā  hai  is  ko
haq  to  bantā  hai  yahāñ  phuul  ke  itrāne  kā