kyā  batā.eñ  kyā  kal  shab  āḳhirī  pahar  dekhā
kār-gāh-e-gardūñ  par  chāñd  kā  safar  dekhā
jalva-gāh-e-hastī  meñ  husn  jalva-gar  dekhā
haa.e  ham-nafas  mat  pūchh  kab  kahāñ  kidhar  dekhā
aah  vo  shab-e-pur-nam  uf  vo  nuur  kī  mahfil
darmiyāñ  sitāroñ  ke  jalva-e-qamar  dekhā
us  jamāl-e-uryāñ  ko  sirf  ik  nazar  dekhā
phir  vahī  nazar  aayā  jab  jahāñ  jidhar  dekhā
haa.e  ai  mujassam  husn  rashk-e-nūr-o-tābānī
tū  ne  mere  ḳhirman  ko  ḳhuub  phūñk  kar  dekhā
shab  Dhalī  to  ai  'sālim'  mah  nasheb  meñ  utrā
ik  chakor  ko  dekhā  aur  ba-chashm-e-tar  dekhā