Mushafi Ghulam Hamdani

mir kya chiz hai sauda kya hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
'mīr' kyā chiiz hai 'saudā' kyā hai
mujh ko in logoñ kī parvā kyā hai
ye agar arse meñ aa.e ziiñ pesh
dekh tū merā bhī shohra kyā hai
ai sabā sham-e-sahar ko na satā
ab bujhī jaa.e hai arsa kyā hai
gar kiyā qatl kisī ko to kyā
chalo is baat kā charchā kyā hai
ek din us ke maiñ dar tak jo gayā
ye samajh dekhūñ to hotā kyā hai
the ka.ī shaḳhs baham harf-zanāñ
maiñ kahā un se ye ġhauġhā kyā hai
sun ke vaañ se jo nikal aayā ek
vo mujhe dekh ke kahtā kyā hai
aap jo der se is jā haiñ khaḌe
ye kaheñ aap ne bechā kyā hai
mil ga.e ḳhaak meñ ham ab to kah
'mus.hafī' terī tamannā kyā hai
Top Urdushayar.com