har  dam  aate  haiñ  bhare  dīda-e-giryāñ  tujh  bin
mujh  ko  ye  Dar  hai  ki  laa.eñ  na  ye  tūfāñ  tujh  bin
lāla-o-gul  kī  taraf  kis  kī  balā  dekhe  hai
jī  ko  bhātī  hī  nahīñ  sair-e-gulistāñ  tujh  bin
aa  gayā  bas-ki  ḳhalal  maz.hab-o-millat  meñ  mirī
na  rahā  gabr  meñ  pyāre  na  musalmāñ  tujh  bin
dil  gayā  diin  gayā  sabr  gayā  taab  ga.ī
yuuñ  hī  apne  to  hue  saikḌoñ  nuqsāñ  tujh  bin
na  khile  ġhuncha-e-tasvīr  ke  mānind  kabhū
lab-e-ḳhāmosh  mire  ai  gul-e-ḳhandāñ  tujh  bin
jab  se  ai  gul  tū  gayā  bistar-e-āshiq  pe  tire
gul-e-bālīñ  na  hue  sumbul-o-raihāñ  tujh  bin
sāmne  se  mirī  āñkhoñ  ke  na  jā  maan  kahā
kis  ko  dekhūñgā  maiñ  phir  ai  mah-e-tābāñ  tujh  bin
roz  dushman  kā  bhī  is  tarah  na  kaTiyo  yā-rab
maiñ  ne  jis  zulm  se  kaaTī  shab-e-hijrāñ  tujh  bin
mah-e-nau  shaam  ke  hote  hī  tasavvur  meñ  tire
thā  khaḌā  sar  pe  liye  ḳhanjar-e-uryāñ  tujh  bin
aur  jo  jaatī  thī  kabhī  ḳhosha-e-parvīñ  pe  nigāh
vo  bhī  lagtā  thā  sanam  dasta-e-paikāñ  tujh  bin
'mus.hafī'  jā  ke  gulistāñ  meñ  kare  kyā  pyāre
ki  gulistāñ  hai  use  ḳhāna-e-zindāñ  tujh  bin