Mushafi Ghulam Hamdani

idhar se jhankte hain gah udhar se dekh lete hain

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
idhar se jhāñkte haiñ gah udhar se dekh lete haiñ
ġharaz ham us kī sūrat sau hunar se dekh lete haiñ
kiyā hai baḳht ne jis din se ham ko us kā ham-sāya
ham us rashk-e-parī ko apne ghar se dekh lete haiñ
jo ho jaate haiñ dīvāne tire itne naqāboñ par
ḳhudā jaane ki vo tujh ko kidhar se dekh lete haiñ
hameñ girya se vo fursat kahāñ jo ḳhāl-o-ḳhat dekheñ
magar naqsha tirā is chashm-e-tar se dekh lete haiñ
hamāre dekhne se kyuuñ ḳhafā hotā hai ai zālim
tirā lete haiñ kyā Tuk ik nazar se dekh lete haiñ
hameñ us kū meñ rahne kā nahīñ kuchh aur to hāsil
par itnā hai ki gaahe chāk-e-dar se dekh lete haiñ
lageñ haiñ dekhne jab 'mus.hafī' ham us ke kūche meñ
Tuk ik phir kar bhī rusvā.ī ke Dar se dekh lete haiñ
Top Urdushayar.com