Mushafi Ghulam Hamdani

jab tak ye mohabbat mein badnam nahin hota

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
jab tak ye mohabbat meñ badnām nahīñ hotā
is dil ke ta.iiñ hargiz ārām nahīñ hotā
aalam se hamārā kuchh maz.hab hī nirālā hai
ya.anī haiñ jahāñ ham vaañ islām nahīñ hotā
kab va.ada nahīñ kartīñ milne kā tirī āñkheñ
kis roz nigāhoñ meñ paiġhām nahīñ hotā
baal apne baḌhāte haiñ kis vāste dīvāne
kyā shahr-e-mohabbat meñ hajjām nahīñ hotā
miltā hai kabhī bosa ne gaalī hī paate haiñ
muddat huī kuchh ham ko in.aam nahīñ hotā
saaqī ke talattuf ne aalam ko chhakāyā hai
labrez hamārā hī ik jaam nahīñ hotā
kyuuñ tīrgī-e-tāl.e kuchh tū bhī nahīñ kartī
ye roz-e-musībat kā kyuuñ shaam nahīñ hotā
phir merī kamand us ne Daale hī tuḌā.ī hai
vo āhu-e-ram-ḳhurda phir raam nahīñ hotā
ne ishq ke qābil haiñ ne zohd ke darḳhur haiñ
ai 'mus.hafī' ab ham se kuchh kaam nahīñ hotā
Top Urdushayar.com