us  but  ko  nahīñ  hai  Dar  ḳhudā  se
bigḌī  bande  se  gar  ḳhudā  se
go  ḳhalq  bhī  jaane  haal  merā
poshīda  nahīñ  magar  ḳhudā  se
hai  ham  se  to  aah  aah  karnā
denā  is  ko  asar  ḳhudā  se
ham  ne  use  apnā  suud  jaanā
pahuñchā  bhī  agar  zarar  ḳhudā  se
dekhā  hai  maiñ  jab  se  vo  but-e-shoḳh
phir  ga.ī  hai  mirī  nazar  ḳhudā  se
bāzīche  meñ  hai  udhar  vo  mashġhūl
aur  ban  rahī  hai  idhar  ḳhudā  se
kuchh  ḳhuub  nahīñ  ye  ḳhud-numā.ī
haañ  ai  but-e-shoḳh  Dar  ḳhudā  se
hai  bair  ḳhudā.ī  aur  ḳhudī  meñ
itnī  bhī  ḳhudī  na  kar  ḳhudā  se
ye  saare  ḳhudā-shanās  haiñ  lek
detā  nahīñ  koī  ḳhabar  ḳhudā  se
ai  'mus.hafī'  kuchh  kamī  nahīñ  vaañ
jo  chāhe  so  maañg  par  ḳhudā  se