Mushafi Ghulam Hamdani

mujhse ek baat kiya kijiye bas

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
mujh se ik baat kiyā kījiye bas
is qadar mehr-o-vafā kījiye bas
āfrīñ sāmne āñkhoñ ke mirī
yuuñ hī tā-der rahā kījiye bas
dil-e-bīmār huā ab chañgā
dosto tark-e-davā kījiye bas
ḳhūn-e-āshiq se ye parhez use
āshnā-e-kaf-e-pā kījiye bas
sharm tā-chand hayā bhī kab tak
muñh se burqe ko judā kījiye bas
gar zabāñ apnī ho goyā to mudām
tāle.oñ kā hī gilā kījiye bas
tum miyāñ 'mus.hafī' ruḳhsat to hue
ab khaḌe kyuuñ ho duā kījiye bas
Top Urdushayar.com