Mushafi Ghulam Hamdani

ab mujhko gale lagao sahib

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ab mujh ko gale lagāo sāhib
yak shab kahīñ tum bhī aao sāhib
rūThā huuñ jo tum se maiñ to mujh ko
aa kar ke tumhīñ manāo sāhib
baiThe raho mere sāmne tum
az bahr-e-ḳhudā na jaao sāhib
kuchh ḳhuub nahīñ ye kaj-adā.ī
har lahza na bhauñ chaḌhāo sāhib
rakhte nahīñ parda ġhair se tum
jhūTī qasmeñ na khaao sāhib
dar-guzre ham aisī zindagī se
itnā bhī na jī jalāo sāhib
yā ġhair kī chaah bhuul jaao
yā dil se hameñ bhulāo sāhib
tum vaqt ke apne ho masīhā
murde ke ta.iiñ jilāo sāhib
miyāñ-'mus.hafī' yaar aa milegā
itnā bhī na tilmilāo sāhib
Top Urdushayar.com