Mushafi Ghulam Hamdani

dil sine mein betab hai dildar kidhar hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
dil siine meñ betāb hai dildār kidhar hai
kui mujh ko batā do vo mirā yaar kidhar hai
ham kab ke chaman-zār meñ behosh paḌe haiñ
ma.alūm nahīñ gul kidhar aur ḳhaar kidhar hai
us gul kā patā gar nahīñ dete ho to yaaro
itnā to batā do dar-e-gulzār kidhar hai
dil chīnne vaale koī ghar baiTh raheñ haiñ
pūchheñ haiñ yahī rasta-e-bāzār kidhar hai
dekhā mujhe kal us ne to ġhairoñ se ye bolā
laao bhī shitābī mirī talvār kidhar hai
yaañ ho rahā hai siina mirā aagū hī chhalnī
DhūñDe hai kahāñ tiir ko sofār kidhar hai
ahvāl nipaT tañg hai bīmār kā tere
is vaqt tū ai ā.īna-ruḳhsār kidhar hai
shīrīñ-suḳhanāñ sab hī shukr becheñ haiñ lekin
insāf karo josh-e-ḳharīdār kidhar hai
barsoñ na mile us se to us shoḳh ne ham ko
pūchhā na kabhī 'mus.hafī'-e-zār kidhar hai
Top Urdushayar.com