dil  siine  meñ  betāb  hai  dildār  kidhar  hai
kui  mujh  ko  batā  do  vo  mirā  yaar  kidhar  hai
ham  kab  ke  chaman-zār  meñ  behosh  paḌe  haiñ
ma.alūm  nahīñ  gul  kidhar  aur  ḳhaar  kidhar  hai
us  gul  kā  patā  gar  nahīñ  dete  ho  to  yaaro
itnā  to  batā  do  dar-e-gulzār  kidhar  hai
dil  chīnne  vaale  koī  ghar  baiTh  raheñ  haiñ
pūchheñ  haiñ  yahī  rasta-e-bāzār  kidhar  hai
dekhā  mujhe  kal  us  ne  to  ġhairoñ  se  ye  bolā
laao  bhī  shitābī  mirī  talvār  kidhar  hai
yaañ  ho  rahā  hai  siina  mirā  aagū  hī  chhalnī
DhūñDe  hai  kahāñ  tiir  ko  sofār  kidhar  hai
ahvāl  nipaT  tañg  hai  bīmār  kā  tere
is  vaqt  tū  ai  ā.īna-ruḳhsār  kidhar  hai
shīrīñ-suḳhanāñ  sab  hī  shukr  becheñ  haiñ  lekin
insāf  karo  josh-e-ḳharīdār  kidhar  hai
barsoñ  na  mile  us  se  to  us  shoḳh  ne  ham  ko
pūchhā  na  kabhī  'mus.hafī'-e-zār  kidhar  hai