tū  dekhe  to  ik  nazar  bahut  hai
ulfat  tirī  is  qadar  bahut  hai
ai  dil  tū  na  kar  hamārī  ḳhasmī
bas  ik  dil-e-kīna-var  bahut  hai
Tuk  aur  bhī  sabr  kar  ki  mujh  ko
likhnā  abhī  nāma-bar  bahut  hai
ham  aabla  ban  rahe  haiñ  ham  ko
ik  jumbish-e-neshtar  bahut  hai
shīshe  meñ  tire  sharāb  saaqī
Tuk  ham  ko  bhī  de  agar  bahut  hai
is  rañg  se  apne  ghar  na  jaanā
dāman  tirā  ḳhuuñ  meñ  tar  bahut  hai
afsāna-e-ishq  kis  se  kahiye
is  baat  meñ  dard-e-sar  bahut  hai
mujh  ko  nahīñ  aah  kā  bharosa
ya.anī  ki  ye  be-asar  bahut  hai
is  dil  kī  to  tū  ḳhabar  rakkhā  kar
ye  aap  se  be-ḳhabar  bahut  hai
kyā  bigḌī  hai  aaj  'mus.hafī'  se
is  kūche  meñ  shor-o-shar  bahut  hai