Mushafi Ghulam Hamdani

ne zaKHm-e-KHun-chakan hun na halq-e-burida hun

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

ne zaḳhm-e-ḳhūñ-chakāñ huuñ na halq-e-burīda huuñ

āshiq huuñ maiñ kisī aur āfat-rasīda huuñ

hastī se apnī mujh ko nahīñ mutlaq āgahī

umr-e-guzishta ki ġhazāl-e-ramīda huuñ

nikle hai merī vaz.a se ik shorish-e-junūñ

dariyā nahīñ maiñ sail-e-girebāñ-darīda huuñ

murġhān-e-bāġh meñ mire naale shor hai

har-chand maiñ abhī nafs-e-nā-kashīda huuñ

pahuñche sazā ko apnī jo muñh par mire chaḌhe

maiñ dast-e-rozgār meñ teġh-e-kashīda huuñ

jaatā hai jald qāfila-e-umr kis qadar

mohlat nahīñ hai itnī ki Tuk ārmīda huuñ

kaun uTh gayā hai paas se mere jo 'mus.hafī'

rotā huuñ zaar zaar paḌā āb-dīda huuñ

Top Urdushayar.com