kyā  maiñ  jaatā  huuñ  sanam  chhuT  tire  dar  aur  kahīñ
le  qasam  mujh  se  jo  merā  ho  guzar  aur  kahīñ
raftagī  kā  hai  ye  aalam  ki  tire  vaqt-e-ḳhirām
paañv  jaate  haiñ  kahīñ  aur  kamar  aur  kahīñ
sub.h  par  vasl  kī  Thahrī  hai  shab-e-hijr  tire
jāveñ  jaldī  se  guzar  chaar  pahar  aur  kahīñ
vādī-e-qais  meñ  jo  le  ga.ī  mujh  ko  vahshat
dil  ke  bahlāne  kī  jā  thī  na  magar  aur  kahīñ
us  ke  kūche  ko  tū  ai  aah  ġhanīmat  hī  samajh
sach  to  ye  hai  nahīñ  itnā  bhī  asar  aur  kahīñ
ham  haiñ  aur  ḳhosha-e-parvīñ  kā  tamāshā  hama-shab
jā  ke  jhamkā.iye  ye  aqd-e-guhar  aur  kahīñ
lā-ubālī  mirī  dekhe  hai  tū  ā.īna  kahāñ
dil  tirā  aur  kahīñ  hai  to  nazar  aur  kahīñ
va.ada-e-vasl  diyā  iid  kī  shab  ham  ko  sanam
aur  tum  jā  ke  hue  shīr-o-shakar  aur  kahīñ
sāmne  us  ke  lagūñ  rone  to  jhuñjhlā  ke  kahe
yaañ  se  le  jā.iye  ye  dīda-e-tar  aur  kahīñ
chaman-e-lāla-satāñ  meñ  mujhe  jaane  de  sabā
chañge  hoñge  na  mire  dāġh-e-jigar  aur  kahīñ
tafraqa  bād-e-ḳhizāñ  ne  ye  chaman  meñ  Daalā
gul  kahīñ  aur  paḌā  hai  to  samar  aur  kahīñ
barg-o-bar  ye  tire  kūche  meñ  to  laatā  hī  nahīñ
jā  ke  biThlāveñg  ḳhvāhish  kā  shajar  aur  kahīñ
aise  ghabrā.e  ki  hālat  na  rahī  kuchh  baaqī
dekh  aa.e  jo  use  shams  o  qamar  aur  kahīñ
gar  maiñ  bad-nām  huā  us  kī  galī  meñ  to  huā
yaaro  ab  yaañ  se  na  jaave  ye  ḳhabar  aur  kahīñ
'mus.hafī'  maiñ  huuñ  vo  sar-gashta  ki  ḳhurshīd  kī  tarah
shaam  gar  aur  kahīñ  kī  to  sahar  aur  kahīñ