Mushafi Ghulam Hamdani

dil ke nagar mein chaar taraf jab gham ki duhai baiTh gai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
dil ke nagar meñ chaar taraf jab ġham kī duhā.ī baiTh ga.ī
sar pe hamāre dast-e-qazā se teġh-e-judā.ī baiTh ga.ī
ham haiñ faqīr allāh ke yaaro phir is kā hai parekhā kyā
gar ham paas bhī aa kar koī bahnī maa.ī baiTh ga.ī
sun ke adā-e-ġham kī tere sabr-o-shakeb haiñ bhāgne par
paañv Thaharne mushkil haiñ jab dhaak parā.ī baiTh ga.ī
ai dil us bāñkīt se hargiz shuġhl na kar tū lakḌī kā
haath qalam hai phir terā gar ek bhī ghaa.ī baiTh ga.ī
teġh-e-jafā lī myaan se apne jab us jaan ke dushman ne
sar ko jhukā kar apne apne, saarī ḳhudā.ī baiTh ga.ī
'mus.hafī' kyā pūchhe hai divāne haal safā-e-dil kā mire
thā to ye ā.īna raushan par ab kaa.ī baiTh ga.ī
Top Urdushayar.com