Mushafi Ghulam Hamdani

zer-e-naqab aab-gun hae-re unki jaliyan

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

zer-e-naqāb āb-gūñ hā.e-re un jāliyāñ

ham ko to bas Dubo ga.iiñ niil ke kaTre vāliyāñ

teġh jo rakkhī saan par sudh jo sambhālī us ne Tuk

vaza.eñ na.ī tarāshiyāñ tarzeñ na.ī nikāliyāñ

ham pe to barse sub.h tak ḳhanjar o teġh o tiir

abr-e-balā se kam nahīñ hijr rāteñ kāliyāñ

shole juuñ madad kare dūd-e-naḳhast-e-ḳhār-o-ḳhas

missī se aur dhuāñ huiiñ hoñToñ us lāliyāñ

mū-kamarān-e-bāġh-e-husn lachkeñ jo misl-e-shāḳh-e-bed

dil ko na kyuuñ hilāveñ phir un ye nau-nahāliyāñ

ik sharar-e-āh mirī bā.is-e-shor-o-shar huā

jugnū ko dekh jis tarah laḌke bajāveñ tāliyāñ

sāhib-e-ne.amat is tarah rahte haiñ sab se surḳh-rū

sū-e-zamīñ jhukī raheñ meve jaise Dāliyāñ

kis se paḌhāve koī ḳhat inshā jis ho ġhalat

ya.anī ki us ne be-nuqat bhejī haiñ likh ke gāliyāñ

kunj-e-qafas meñ baaġh se aa.e the jo na.e asiir

sauteñ unhoñ saarī raat mere jigar meñ sāliyāñ

'mus.hafī' us bazm meñ bhūke haiñ naaz ke jo log

gāliyoñ jagah unhoñ miltī haiñ kyā sahāliyāñ

Top Urdushayar.com