Aqeel Shadab

mata-o-mal na de daulat-e-tabahi de

Aqeel Shadab

matā-o-māl na de daulat-e-tabāhī de

mujhe bhī mumlikat-e-ġham bādshāhī de

khaḌā huā huuñ maiñ dast-e-talab darāz kiye

na mere sar ko yuuñ ilzām-e-kaj-kulāhī de

maiñ apne aap ko kis tarah sañgsār karūñ

mire ḳhilāf mirā dil agar gavāhī de

maiñ Thahre paanī mānind qaid huuñ ḳhud meñ

koī nasheb jānib mujhe bahā de

mire dinoñ ko javāñ jism ujālā de

mirī shaboñ ko ghanī zulf siyāhī de

kabhī to lazzat-e-kām-o-dahan do-bālā kar

ham aise fāqa-kashoñ ko bhī murġh-o-māhī de

har ek daur ke suqrāt ye virsa hai

mujhe bhī mirī zahrāb surāhī de

Top Urdushayar.com