Mushafi Ghulam Hamdani

har-chand ki baat apni kab lutf se Khaali hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

har-chand ki baat apnī kab lutf se ḳhālī hai

par yaar na samjheñ to ye baat nirālī hai

āġhosh meñ hai vo aur pahlū mirā ḳhālī hai

māshūq mirā goyā tasvīr-e-ḳhyālī hai

kyā Dar hai agar us ne dar se mujhe uThvāyā

kahte haiñ taġhayyurī meñ āshiq bahālī hai

bālīñ pe jab aayā hai bīmār apne

tab ruuh ke qābiz ne jaan us nikālī hai

maiñ haal bayāñ apnā kartā huuñ ġhazal kah ke

is vāste ab merā jo sher hai haalī hai

mehñdī ke lagāne meñ phurtī ye nahīñ dekhī

zālim ne hathelī par sarsoñ jamā hai

har-chand ki parvāna jal jaane meñ hai āñdhī

par sham.a bhī ātish meñ jhoñkne vaalī hai

maanī ne shabīh us kyā soch ke khīñchī thī

mū-e-kamar us ke tasvīr ḳhayālī hai

zāhir hai ki jaage ho tum raat kahīñ rah kar

āñkhoñ meñ nashe to kuchh thoḌī laalī hai

maqdūr magar kab thā qurbān haiñ ham us ke

dāman tire jis ne ye jhoñk sambhālī hai

ai 'mus.hafī' hai terā itnā jo suḳhan chaspāñ

kyā ne javāñ darzan ghar meñ koī Daalī hai

Top Urdushayar.com