asar  mirī  zabān  meñ  nahīñ  rahā
vo  tiir  ab  kamān  meñ  nahīñ  rahā
hai  pattharoñ  kā  qarz  us  ke  dosh  par
jo  kāñch  ke  makān  meñ  nahīñ  rahā
alaav  sard  ho  ga.e  hayāt  ke
rachāo  dāstān  meñ  nahīñ  rahā
thā  jis  pe  merī  zindagī  kā  inhisār
usī  kā  naam  dhyān  meñ  nahīñ  rahā
gumān  hī  asāsa  thā  yaqīn  kā
yaqīn  hī  gumān  meñ  nahīñ  rahā
huā  jo  sahl  us  ke  ghar  kā  rāsta
maza  hī  kuchh  takān  meñ  nahīñ  rahā
na  kī  kabhī  bhī  fikr  maiñ  ne  suud  kī
kabhī  bhī  maiñ  ziyān  meñ  nahīñ  rahā
vo  kho  gayā  ġhubār-e-gard-e-rāh  meñ
jo  shaḳhs  imtihān  meñ  nahīñ  rahā
ḳhamoshiyoñ  ne  bhar  diyā  ḳhalāoñ  ko
suḳhan  vo  darmiyān  meñ  nahīñ  rahā
taḌap  uThe  jise  ḳharīdne  ko  dil
vo  maal  hī  dukān  meñ  nahīñ  rahā