Mushafi Ghulam Hamdani

hai mah ki aaftab kya hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

hai maah ki āftāb kyā hai

dekho to tah-e-naqāb kyā hai

maiñ ne tujhe ne mujh ko dekhā

ab mujh se tujhe hijāb kyā hai

aa.e ho to koī dam to baiTho

ai qibla ye iztirāb kyā hai

us bin hameñ jāgte guzrī

jaanā bhī na ye ki ḳhvāb kyā hai

mujh ko bhī gine vo āshiqoñ meñ

is baat so hisāb kyā hai

sīpāra-e-dil ko dekh us ne

pūchhā bhī na ye kitāb kyā hai

is mai-kada-e-jahāñ meñ yaaro

mujh bhī koī ḳharāb kyā hai

qismat meñ hamārī 'mus.hafī' haa.e

kyā jaane savāb azaab kyā hai

Top Urdushayar.com