shab  ham  ko  jo  us  kī  dhun  rahī  hai
kyā  jī  meñ  udheḌ-bun  rahī  hai
majnūñ  se  kaho  ki  ''māñ  ke  lailā
ḳhātir  tirī  ta.ane  sun  rahī  hai''
parvāna  to  jal  chukā  vale  sham.a
sar  apnā  hanūz  dhun  rahī  hai
pahlū  se  uThā  mire  na  ġhabġhab
ye  poTlī  dard  chun  rahī  hai
ye  aah  pe  laḳht-e-dil  jale  haiñ
yā  sīḳh-kabāb  bhun  rahī  hai
rakkhūñ  na  aziiz  dāġh-e-dil  ko
paas  apne  yahī  to  hun  rahī  hai
ai  meñh  na  baras  ki  'mus.hafī'  kī
chhat  ghar  kī  tamām  ghun  rahī  hai