kyā  daḳhl  kisī  se  maraz-e-ishq  shifā  ho
mumkin  hai  ki  is  dard  kī  duniyā  meñ  davā  ho
bāloñ  kā  ghuras  rakhnā  hai  pagḌī  hī  meñ  behtar
kyā  fā.eda  ik  ḳhalq  giraftār-e-balā  ho
maġhrūr  na  rah  hasti-e-mauhūm  pe  ġhāfil
yaañ  aañkh  jhapakte  hī  ḳhudā  jāniye  kyā  ho
ai  musht-e-ġhubār-e-tan-e-farsūda-e-āshiq
us  kū  meñ  zamīñ-gīr  hai  giiv  ab  tū  havā  ho
gar  charḳh  pe  jaave  to  shafaq  hove  mirā  ḳhuuñ
var  ḳhaak  meñ  pinhāñ  ho  to  vaañ  rañg-e-hinā  ho
hai  sub.h  se  kuchh  aaj  mire  dil  ko  bashāshat
us  kūche  se  qāsid  to  na  ḳhat  le  ke  chalā  ho
kyā  daur  hai  gar  ruuh  mirī  ba.ad-e-fanā  bhī
phirtī  rahe  kūche  meñ  tire  bād-e-sabā  ho
parda  maiñ  uThātā  nahīñ  zinhār  kisī  kā
is  Dar  se  kahīñ  tū  hī  na  parde  meñ  chhupā  ho
hai  ā.īne  meñ  aks  tirā  terī  hī  sūrat
tū  us  pe  fidā  aur  vo  tere  pe  fidā  ho
chalte  hī  tire  baam  pe  aayā  hai  vo  kāfir
kyuuñ  itne  qadam  jald  uThātā  hai  khaḌā  ho
ai  'mus.hafī'  us  kūche  se  tū  sar  ko  jhukā.e
kyā  jaave  hai  kam-baḳht  zarā  rū-ba-qafā  ho