Mushafi Ghulam Hamdani

taKHta-e-ab-e-chaman kyun na nazar aawe sapaT

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

taḳhta-e-āb-e-chaman kyuuñ na nazar aave sapāT

yaad aave mujhe jis dam vo nigammūd ghaaT

zindagānī maza zer-e-falak ab na rahā

yā-rab aisā ho ki mil jaa.e kahīñ paaT se paaT

fann-e-kashtī meñ qayāmat hai vo but gāzir

dhuum detā hai machā aave hai jab dhobī paaT

jaate vādi-e-vahshat meñ qadam maarā maiñ

chaman-e-dahr se dil apnā huā jab ki uchāT

ḳhāk-e-dehlī meñ kyā jab se nasārā ne amal

shor-e-gūjar rahā aur na hañgāma-e-jāT

tark ġhamze magar bar-sare-e-saffākī hai

us ke kūche se chalī aatī hai jab khaaT pe khaaT

qatl-e-āshiq jo hotā hai irāda us ko

pahle dekhe hai ḳhar o gaav pe talvār kaaT

koī sīkhe bhī qanā.at ko to sag se sīkhe

paḌ rahe hai vo ba-yak gosha diyā raat ko chaaT

roz hañgāma hai is gumbad-e-nīlī ke ta.iiñ

'mus.hafī' shak nahīñ bigḌā hai magar niil maaT

Top Urdushayar.com