Mushafi Ghulam Hamdani

na puchh ishq ke sadme uThae hain kya kya

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
na pūchh ishq ke sadme uThā.e haiñ kyā kyā
shab-e-firāq meñ ham tilmilā.e haiñ kyā kyā
zarā tū dekh to sannā-e-dast-e-qudrat ne
tilism-e-ḳhāk se naqshe uThā.e haiñ kyā kyā
maiñ us ke husn ke aalam kī kyā karūñ tārīf
na pūchh mujh se ki aalam dikhā.e haiñ kyā kyā
zarā to dekh tū ghar se nikal ke ai be-mehr
ki dekhne ko tire log aa.e haiñ kyā kyā
koī paTaktā hai sar koī jaan khotā hai
tire ḳhirām ne fitne uThā.e haiñ kyā kyā
zarā tū aan ke āb-e-ravāñ kī sair to kar
hamārī chashm ne chashme bahā.e haiñ kyā kyā
nigāh-e-ġhaur se Tuk 'mus.hafī' kī jānib dekh
jigar pe us ne tire zaḳhm khaa.e haiñ kyā kyā
Top Urdushayar.com