Aqeel Shadab

libas gard ka aur jism nur ka nikla

Aqeel Shadab

libās gard kā aur jism nuur kā niklā
tamām vahm hī apne shu.ūr kā niklā
jo apne aap se baḌh kar hamārā apnā thā
use qarīb se dekhā to duur kā niklā
badan ke paar utarte hī khul ga.iiñ āñkheñ
surāġh tere sarāpā se tuur kā niklā
sabhī nishāniyāñ us shaḳhs par kharī utrīñ
jo bhuul kar bhī kabhī zikr huur kā niklā
uThe jo haath mirī sañgsāriyoñ ke liye
har ek dast-e-ināyat huzūr kā niklā
na-jāne bhuul gayā kaun kab kahāñ likh kar
miTā sā naqsh maiñ bainassutūr kā niklā
jo daana daana fanā fasl-e-ārzū kā huā
tamām fitna malaḳh aur mor kā niklā
giraft-e-fan se na āzād ho sakā 'shādāb'
ḳhayāl-e-tāza karishma bahūr kā niklā
Top Urdushayar.com