Mushafi Ghulam Hamdani

sada fikr-e-rozi hai ta zindagi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

sadā fikr-e-rozī hai zindagī hai

jo jiinā yahī hai to kyā zindagī hai

chhupā muñh na apnā ki mar jā.eñge ham

parī-rū tirā dekhnā zindagī hai

mujhe ḳhizr se do na jiine meñ nisbat

ki us ba-āb-e-baqā zindagī hai

tirī bevafā.ī shikva kareñ kyā

ḳhud apnī yaañ bevafā zindagī hai

ajal ke sivā us daarū nahīñ kuchh

ajab dard dūr-az-davā zindagī hai

gulshan meñ rah gul ye kahtā thā us se

tire dam se merī sabā zindagī hai

jinhoñ ne kiyā hai dil ā.īna apnā

unhīñ logoñ bā-safā zindagī hai

kahāñ havā tak rahā hai nādāñ

ki pal mārte yaañ havā zindagī hai

na ham muft marte haiñ kū-e-butāñ meñ

ki marne se yaañ mudda.ā zindagī hai

ai 'mus.hafī' gar hai āshiq fanā ho

ki āshiq ko bād-az-fanā zindagī hai

Top Urdushayar.com