Aqeel Shadab

hawas ka rang chaDha us pe aur utar bhi gaya

Aqeel Shadab

havas rañg chaḌhā us pe aur utar bhī gayā

vo ḳhud jam.a huā aur ḳhud bikhar bhī gayā

thī zindagī mirī rāhoñ ke pech-o-ḳham asiir

magar maiñ raat ke hamrāh apne ghar bhī gayā

maiñ dushmanoñ meñ bhī ghir kar niDar rahā lekin

ḳhud apne jazba-e-haivāniyat se Dar bhī gayā

mire lahū talab ne mujhe tabāh kiyā

havas meñ sañg hāthoñ se mere sar bhī gayā

hai lafz-o-ma.anī rishta zavāl-āmāda

ḳhayāl paidā huā bhī na thā ki mar bhī gayā

sila ye manzil-e-maqsūd milā 'shādāb'

safar tamām huā aur ham-safar bhī gayā

Top Urdushayar.com