Mushafi Ghulam Hamdani

shab shauq le gaya tha hamein uske ghar talak

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
shab shauq le gayā thā hameñ us ke ghar talak
par ġhash sā aa gayā vohīñ pahuñche jo dar talak
gar ham ko lag ga.ī haiñ kabhī hichkiyāñ to ham
aaTh aaTh aañsū ro.e haiñ do do pahar talak
Dartā huuñ maiñ ye gum na kare aap ko kahīñ
phir ja.ad ko huī hai rasā.ī kamar talak
parvāna kyā uḌe hai charāġhāñ meñ to nahīñ
pahuñchā jo koī sho.ala tire bāl-o-par talak
sahrā-e-kushtagāñ meñ tire kal gayā thā maiñ
dekhūñ to lāla-zār hai hadd-e-nazar talak
phailāv bahr-e-ashk kā apne maiñ kyā kahūñ
pahuñchī hai mauj gar ye mirī bahr-o-bar talak
ve din kidhar ga.e ki maiñ likh likh ke ḳhat-e-shauq
jaatā thā aap girya-kunāñ nāma-bar talak
shab us kī bazm meñ jo ga.e ham to 'mus.hafī'
aise jame ki vaañ se na uTThe sahar talak
Top Urdushayar.com