shab  shauq  le  gayā  thā  hameñ  us  ke  ghar  talak
par  ġhash  sā  aa  gayā  vohīñ  pahuñche  jo  dar  talak
gar  ham  ko  lag  ga.ī  haiñ  kabhī  hichkiyāñ  to  ham
aaTh  aaTh  aañsū  ro.e  haiñ  do  do  pahar  talak
Dartā  huuñ  maiñ  ye  gum  na  kare  aap  ko  kahīñ
phir  ja.ad  ko  huī  hai  rasā.ī  kamar  talak
parvāna  kyā  uḌe  hai  charāġhāñ  meñ  to  nahīñ
pahuñchā  jo  koī  sho.ala  tire  bāl-o-par  talak
sahrā-e-kushtagāñ  meñ  tire  kal  gayā  thā  maiñ
dekhūñ  to  lāla-zār  hai  hadd-e-nazar  talak
phailāv  bahr-e-ashk  kā  apne  maiñ  kyā  kahūñ
pahuñchī  hai  mauj  gar  ye  mirī  bahr-o-bar  talak
ve  din  kidhar  ga.e  ki  maiñ  likh  likh  ke  ḳhat-e-shauq
jaatā  thā  aap  girya-kunāñ  nāma-bar  talak
shab  us  kī  bazm  meñ  jo  ga.e  ham  to  'mus.hafī'
aise  jame  ki  vaañ  se  na  uTThe  sahar  talak