Mushafi Ghulam Hamdani

gar abr ghira hua khaDa hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
gar abr ghirā huā khaḌā hai
aañsū bhī tulā huā khaḌā hai
hairān hai kis kā jo samundar
muddat se rukā huā khaḌā hai
hai mausam-e-gul chaman meñ har naḳhl
phūloñ se ladā huā khaḌā hai
shamshād barābar us ke qad ke
dahshat se bachā huā khaḌā hai
hai chaak kisī kā jaib o dāmāñ
koī ḳhasta luTā huā khaḌā hai
tū aa ke to dekh dar pe tere
kyā saañg banā huā khaḌā hai
ḳhalvat ho kabhū to yuuñ kahe vo
koī dar se lagā huā khaḌā hai
maiñ ḳhair hai gar kahūñ to bole
vo dekh chhupā huā khaḌā hai
ḳhūnīñ kafan-e-shahīd-e-ulfat
dūlhā sā banā huā khaḌā hai
terā hī hai intizār us ko
naaqa to kasā huā khaḌā hai
ai jaan nikal ki 'mus.hafī' kā
asbāb ladā huā khaḌā hai
Top Urdushayar.com