Mushafi Ghulam Hamdani

umr-e-pas-manda kuchh dalil si hai

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

umr-e-pas-māñda kuchh dalīl hai

zindagānī bhī ab qalīl hai

girya kartā huuñ kyā maiñ nazr-e-husain

āñsuoñ jo ik sabīl hai

chal dilā vo patañg uḌātā hai

abhī aane meñ us ke Dhiil hai

log karte haiñ vasf-e-nūr-jahāñ

maiñ ne dekhā vo zan to fiil hai

kis ke mizhgāñ ne ye kiyā jaadū

mere dil meñ gaḌī jo kiil hai

gar aave shikār-e-māhī ko

chashm-e-tar āñsuoñ se jhiil hai

us ko sohbat gar dimāġh nahīñ

tab.a apnī bhī kuchh aliil hai

dil mirā misr-e-husn hai tab to

nadī āñkhoñ rūd-e-nīl hai

hai jo ye 'mus.hafī' ham-ḳhvāba

hai to achchhī pa kuchh asiil hai

Top Urdushayar.com