Mushafi Ghulam Hamdani

chakhi na jis ne kabhi lazzat-e-sinan-e-nigah

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

chakhī na jis ne kabhī lazzat-e-sinān-e-nigāh

maza de phir use kyā teġh-e-ḳhūñ-chakān-e-nigāh

jis anjuman meñ ki paḌtā na thā gumān-e-nigāh

paḌā hai TuuT dam-e-raqs āsmān-e-nigāh

balā se us se roz-e-siyah haal kahūñ

ki mīl-e-surma hai is ke mizāj dān-e-nigāh

dhanak se surme chilla hai ba-gosha-e-chashm

koī hai said jo phir zah huī kamān-e-nigāh

barī hai vājib o mumkin qaid se vo husn

na darmiyāna-e-mardum na darmyān-e-nigāh

huā thā mastī majlis meñ shab guzar apnā

kiyā nazāra-e-mahviyyat-e-jahān-e-nigāh

vo āsmāñ taraf dekhe gar uThā kar aañkh

gire zamīn pe iisā bhī khā sinān-e-nigāh

na taab nūr-e-tajallī sakā muusā

faroġh-e-husn huā bā.is-e-ziyān-e-nigāh

Top Urdushayar.com