ham  bhī  haiñ  tire  husn  ke  hairān  idhar  dekh
kyā  ā.īna  dekhe  hai  mirī  jaan  idhar  dekh
āñkheñ  na  churā  mujh  se  mirī  jaan  idhar  dekh
ai  maiñ  tirī  is  chashm  ke  qurbān  idhar  dekh
tarsūñ  huuñ  tirī  yak-nigah-e-lutf  ko  pyāre
itnā  bhī  to  mujh  ko  na  kaḌā  maan  idhar  dekh
āshiq  to  hazāroñ  hī  ġharaz  guzre  haiñ  lekin
yuuñ  chaak  huā  kis  kā  garebān  idhar  dekh
āñkheñ  na  churā  'mus.hafī'-e-reḳhta-go  se
ik  umr  se  terā  hai  sanā-ḳhvān  idhar  dekh