ġham  tirā  dil  meñ  mire  phir  aag  sulgāne  lagā
phir  dhuāñ  sā  us  se  kuchh  uThtā  nazar  aane  lagā
ishq  ke  sadme  uThā.e  the  bahut  par  kyā  kareñ
ab  to  un  sadmoñ  se  kuchh  jī  apnā  ghabrāne  lagā
maiñ  hī  kuchh  be-sabr-o-tāqat  ishq  meñ  us  ke  nahīñ
dil  bhī  ab  be-tāqatī  se  kaam  farmāne  lagā
dekhte  hī  us  ke  kuchh  is  kī  ye  hālat  ho  ga.ī
jo  mujhe  samjhā.e  thā  maiñ  us  ko  samjhāne  lagā
raqs  meñ  us  ke  sañjāf-e-surḳh  ke  aalam  ko  dekh
sho.ala-e-javvāla  dāman  se  lipaT  jaane  lagā
ho  chukī  fasl-e-girebāñ-chākī  ab  dast-e-junūñ
dhajjiyāñ  kar  ke  mujhe  dāman  kī  dikhlāne  lagā
muñh  se  niklā  thā  mire  itnā  hī  kyā  achchhī  hai  zulf
sunte  hī  is  baat  ke  kuchh  vo  to  bal  khāne  lagā
kyuuñ  na  phāḌūñ  maiñ  girebāñ  mere  hote  bazm  meñ
ġhair  se  band-e-qabā  vo  apne  khulvāne  lagā
'mus.hafī'  maiñ  to  na  likhtā  thā  vale  shauq-e-fuzūl
is  zamīñ  meñ  phir  ġhazal  ik  mujh  se  likhvāne  lagā