aaj  palkoñ  ko  jaate  haiñ  aañsū
ulTī  gañgā  bahāte  haiñ  aañsū
ātish-e-dil  to  ḳhaak  bujhtī  hai
aur  jī  ko  jalāte  haiñ  aañsū
ḳhūn-e-dil  kam  huā  magar  jo  mire
aaj  tham  tham  ke  aate  haiñ  aañsū
jab  talak  diida  girya-sāmāñ  ho
dil  meñ  kyā  josh  khāte  haiñ  aañsū
gokharo  par  tumhārī  añgiyā  ke
kis  ke  ye  lahar  khāte  haiñ  aañsū
terī  pāzeb  ke  jo  haiñ  motī
un  se  āñkheñ  laḌāte  haiñ  aañsū
sham.a  kī  tarah  ik  lagan  meñ  mire
'mus.hafī'  kab  samāte  haiñ  aañsū
fikr  kar  un  kī  varna  majlis  meñ
abhī  tūfāñ  laate  haiñ  aañsū