Mushafi Ghulam Hamdani

jab nabi-sahib mein koh-o-dasht se aai basant

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
jab nabī-sāhib meñ koh-o-dasht se aa.ī basant
kar ke mujrā shāh-e-mardāñ kī taraf dhaa.ī basant
ḳhvāja-qutbuddīñ meñ phir gaḌvā banā kar le ga.ī
ya.anī un kī nazr ko sau phuul gul laa.ī basant
vaañ se phir hazrat-nizāmuddīñ kī ḳhidmat meñ chalī
turbat-e-ḳhusrav pe phir ho ke khaḌe gaa.ī basant
sū-e-hazrat turkamāñ aa.ī jo kar us kā tavāf
ho ga.ī vohīñ bayābānī-o-sahrā.ī basant
vohīñ phir darbār-e-shāh-e-hind meñ rakh kar qadam
nāchne gaane lagī hañs hañs ba-zebā.ī basant
phir janāb āsif-e-daurāñ meñ bā-sad aish-o-nāz
ho ga.ī aa kar ke masrūf-e-jabīñ-sā.ī basant
'mus.hafī' ab ik ġhazal likh tū ġhazal kī tarah se
tā kare aalam kā tārāj-e-shakebā.ī basant
Top Urdushayar.com