Mushafi Ghulam Hamdani

ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
ghar meñ bāshinde to ik naaz meñ mar jaate haiñ
aur jo ham-sā.e haiñ āvāz meñ mar jaate haiñ
kabk o tā.ūs ko chaltā hai tū Thahrā ke to ham
terī raftār ke andāz meñ mar jaate haiñ
muzhda ai yaas ki yaañ kunj-e-qafas ke qaidī
yak-ba-yak mausam-e-parvāz meñ mar jaate haiñ
haiñ tire ramz-e-tabassum ke adā-fahm jo shaḳhs
jumbish-e-la.al-e-fusūñ-sāz meñ mar jaate haiñ
lab hilāne nahīñ paatā vo ki ham nādīda
bas vahīñ baat ke āġhāz meñ mar jaate haiñ
tausan-e-nāz ko pheñke hai vo jis dam sarpaT
log kyā kyā na tag-o-tāz meñ mar jaate haiñ
'mus.hafī' dasht-e-balā kā safar āsān hai kyā
saikaḌoñ basra o shīrāz meñ mar jaate haiñ
Top Urdushayar.com