Mushafi Ghulam Hamdani

ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

ghar meñ bāshinde to ik naaz meñ mar jaate haiñ

aur jo ham-sā.e haiñ āvāz meñ mar jaate haiñ

kabk o tā.ūs ko chaltā hai Thahrā ke to ham

terī raftār ke andāz meñ mar jaate haiñ

muzhda ai yaas ki yaañ kunj-e-qafas ke qaidī

yak-ba-yak mausam-e-parvāz meñ mar jaate haiñ

haiñ tire ramz-e-tabassum ke adā-fahm jo shaḳhs

jumbish-e-la.al-e-fusūñ-sāz meñ mar jaate haiñ

lab hilāne nahīñ paatā vo ki ham nādīda

bas vahīñ baat ke āġhāz meñ mar jaate haiñ

tausan-e-nāz ko pheñke hai vo jis dam sarpaT

log kyā kyā na tag-o-tāz meñ mar jaate haiñ

'mus.hafī' dasht-e-balā safar āsān hai kyā

saikaḌoñ basra o shīrāz meñ mar jaate haiñ

Top Urdushayar.com