dar  talak  jaane  kī  hai  us  ke  manāhī  ham  ko
apnī  bas  ab  nazar  aatī  hai  tabāhī  ham  ko
roz  jūñ-tūñ  ki  huā  shaam  to  phir  behtar  azaab
nazar  aa.ī  shab-e-hijrāñ  kī  siyāhī  ham  ko
ham  to  jaane  kā  irāda  nahīñ  karte  lekin
vo  kamar  sū-e-adam  kartī  hai  raahī  ham  ko
kyuuñ  tire  chāh-e-zanaḳhdāñ  kā  na  nazzāra  kareñ
jī  se  bhātā  hai  bahut  sabza-e-chāhī  ham  ko
dām-e-bar-dosh  hī  maḳhlūq  kiyā  ḳhāliq  ne
tāqat  uḌne  kī  na  dī  juuñ  par-e-māhī  ham  ko
parda  paḌtā  jo  nahīñ  us  se  ḳhush-andāmī  par
pyārā  lagtā  hai  tirā  kurtā-e-lāhī  ham  ko
umr  bhar  sher  kahe  ham  ne  pa  tū  ne  ai  ishq
na  to  huznī  hī  kiyā  aur  na  aahī  ham  ko
'mus.hafī'  ilm-e-luġhat  se  hai  jinheñ  āgāhī
jānte  haiñ  vo  abū-nasr-farāhī  ham  ko