Mushafi Ghulam Hamdani

pas-e-qafila jo ghubar tha koi usMein naqa-sawar tha

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

pas-e-qāfila jo ġhubār thā koī us meñ nāqa-savār thā

abhī gard-bād ho uḌ gayā vo ajab tarah ġhubār thā

maiñ nigāh-e-pāk se dekhe thā tire husn-e-pāk ko us pe bhī

mire meñ ḳhvāhish-e-vasl thī mire dil meñ bos-o-kanār thā

dil-e-ḳhasta pahlū meñ rah gayā mire sard ho ke to kyā ajab

ki kisī sāfī-e-shast ye ḳhadañg-ḳhurda shikār thā

mirī be-kasī pe tirī nazar na paḌī jab ai but-e-ishva-gar

vo jo terā ahd-e-shabāb thā so vo ain josh-e-bahār thā

maiñ mazār ko bhī miTā diyā maiñ ġhubār ko bhī uḌā diyā

ki tirī safā-e-mizāj par mirī ḳhaak se bhī ġhubār thā

is adā se tiir lagāve thā ba-rū-e-tūda-e-musht-e-gul

ki falak ba-teġh-o-kamān bhī tirā mahv-e-kund-o-kadār thā

ye junūñ uqda-kushā.iyāñ koī bhūltā huuñ maiñ 'mus.hafī'

ki ba-rū-e-har-sar-e-ābla vahī nāḳhun-e-sar-e-ḳhār thā

Top Urdushayar.com