Mushafi Ghulam Hamdani

gar humse na ho wo dil-sitan ek

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
gar ham se na ho vo dil-sitāñ ek
kar diije zamīñ o āsmāñ ek
āshiq kā tire hamāre ġham ne
chhoḌā na badan meñ ustuḳhāñ ek
ham chhūT ke jab qafas se aa.e
dekhā na chaman meñ āshiyāñ ek
kahtī thī ḳhalq rah ai zuleḳhā
kan.āñ se chalā hai kārvāñ ek
yak-rañgī kaheñ haiñ kis ko, ya.anī
do shaḳhs kā hove jism o jaañ ek
sāzish kisī Dhab se kar bhī liije
us dar pe jo hove pāsbāñ ek
hai vaañ to nayā raqīb har dam
hone paate haiñ ham kahāñ ek
hasrat hai ki yuuñ luTe chaman aur
gul ham ko na deve bāġhbāñ ek
āhista ki qāfile ke pīchhe
aatā hai ġharīb-e-nā-tavāñ ek
ham karte haiñ sau zabāñ se bāteñ
yuuñ kahne ko muñh meñ hai zabāñ ek
is par bhī ai 'mus.hafī' hamārā
qissa ek aur hai dāstāñ ek
Top Urdushayar.com