Mushafi Ghulam Hamdani

naKHl lale ja jab zamin se uTha

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

naḳhl laale jab zamīñ se uThā

sho.ala ik do vajab zamīñ se uThā

jo kal ḳhāk-e-kushtagāñ se gayā

shor us dam ajab zamīñ se uThā

baiThe baiThe jo ho gayā vo khaḌā

ik sitāra shab zamīñ se uThā

qad vo buuTā dekh kahtī hai ḳhalq

ye to paudā ajab zamīñ se uThā

tishna sahbā-e-vasl terī

hashr ko ḳhushk-lab zamīñ se uThā

baiTh kar uTh gayā jahāñ vo shoḳh

fitna vaañ jab na tab zamīñ se uThā

sochtā kyā hai dekh dekh use

bin uThā.e vo kab zamīñ se uThā

thī qazā yūñhī tere kushte

laash ko us ab zamīñ se uThā

gul nahīñ 'mus.hafī' dil hai ye

us ko ai be-adab zamīñ se uThā

Top Urdushayar.com