Mushafi Ghulam Hamdani

sidhaari quwwat-e-dil tab aur taqat se kah dijo

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
sidhārī quvvat-e-dil taab aur tāqat se kah diijo
hue haiñ nā-tavāñ ham bistar-e-rāhat se kah diijo
muā bhī maiñ to ai yaaro jo yāroñ se mare hove
salām-e-shauq us kā tum mirī turbat se kah diijo
gar ai qāsid tū us ke rū-ba-rū jaave ishāre se
duā merī bhī us ma.ashūq-e-kam-fursat se kah diijo
suno ai yaaro ik ma.ashūq-e-harjā.ī ke jalve ne
phirāyā dar-ba-dar mere ta.iiñ ġhurbat se kah diijo
bayāñ jo jo ki sūrat tujh se kī hai maiñ ne ai qāsid
tū us ke kaan meñ jhuk kar usī sūrat se kah diijo
bhalā us kā to dil ḳhush hovegā is baat ko sun kar
na pahuñche mudda.ā ko apne ham hasrat se kah diijo
huā dīvāna, thā vo 'mus.hafī' terā jo saudā.ī
sabā gar us galī meñ jaa.e, jam.iyyat se kah diijo
Top Urdushayar.com