tire  muñh  chhupāte  hī  phir  mujhe  ḳhabar  apnī  kuchh  na  zarī  rahī
na  firāq  thā  na  visāl  thā  rahī  ik  to  be-ḳhabarī  rahī
tū  hamesha  ai  but-e-mah-laqā  rahā  mahv  apnī  hī  shakl  kā
tire  aks-e-husn  kī  ārasī  tire  sāmne  hī  dharī  rahī
tire  ahd-e-husn  meñ  yak  zamāñ  na  junūñ  se  mujh  ko  milī  amaañ
vahī  naala  aur  vahī  fuġhāñ  vahī  mashq-e-jāma-darī  rahī
koī  hove  kyūñke  na  tañg-dil  tire  dil  meñ  ai  but-e-sañg-dil
asar  aah  apnī  ne  ye  kyā  ki  rahīn-e-be-asarī  rahī
na  ḳhat  aa.e  par  bhī  kamī  paḌī  tirī  shān-e-husn  meñ  yak  zarī
vahī  qad  kī  fitnagarī  rahī  vahī  ruḳh  kī  jalvagarī  rahī
kabhī  dil  liyā  kabhī  diiñ  liyā  kabhī  zar  liyā  kabhī  sar  liyā
yūñhī  apnī  muft-dahī  rahī  vahī  us  kī  muft-barī  rahī
na  kamāl-e-auj  se  tū  girā  kabhī  fikr-e-sher  meñ  'mus.hafī'
ġhazal  aur  bhī  kahī  tū  ne  gar  vahī  terī  tez-parī  rahī