phir  aa  gayā  zabāñ  pe  vahī  naam  kyā  kareñ
tū  hī  batā  ai  gardish-e-ayyām  kyā  kareñ
ik  pal  ko  lab  pe  aa.ī  hañsī  phir  palaT  ga.ī
yaad  aa  gayā  ho  jaise  koī  kaam  kyā  kareñ
har  aarzū  ke  hoñT  zamāne  ne  sī  diye
bujhne  lagā  charāġh  sar-e-shām  kyā  kareñ
Dar  hai  ki  tere  haath  se  sāġhar  na  chhīn  leñ
ham  tishna-lab  ai  sāqī-e-gulfām  kyā  kareñ
aao  musāfirān-e-adam  aao  ghar  chaleñ
manzil  hamārī  duur  hai  ārām  kyā  kareñ
ruḳh  par  kalī  ke  jab  paḌī  tharrā  ga.ī  nazar
dekhā  hai  har  bahār  kā  anjām  kyā  kareñ
'sīmāb'  ham  ko  chain  milegā  na  umr-bhar
ham  to  haiñ  iztirāb  meñ  badnām  kyā  kareñ