aah  dekhī  thī  maiñ  jis  ghar  meñ  parī  kī  sūrat
ab  nazar  aa.e  hai  vaañ  nauhagarī  kī  sūrat
na  vo  andāz  na  āvāz  na  ishva  na  adā
yak-ba-yak  miT  ga.ī  yuuñ  jalvagarī  kī  sūrat
ab  ḳhayāl  us  kā  vahāñ  āñkhoñ  meñ  phirtā  hai  mirī
koī  phirtā  thā  jahāñ  kabk-e-darī  kī  sūrat
us  ke  jaane  se  mirā  dil  hai  mire  siine  meñ
dam  kā  mehmān  charāġh-e-saharī  kī  sūrat
ne  ḳhabar  us  ko  mirī  pahuñche  hai  ne  us  kī  mujhe
bañdh  ga.ī  hai  ajab  ik  be-ḳhabarī  kī  sūrat
naam  luuñ  kis  kā  ki  ik  gul  ke  liye  jaate  haiñ
ashk  āñkhoñ  se  aqīq-e-jigarī  kī  sūrat
'mus.hafī'  hai  yahī  ab  soch  ki  dekheñ  to  falak
phir  bhī  dikhlā.egā  yār-e-safarī  kī  sūrat