Mushafi Ghulam Hamdani

tum bankpan ye apna dikhate ho hum ko kya

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

tum bāñkpan ye apnā dikhāte ho ham ko kyā

qabze pe haath rakh ke Darāte ho ham ko kyā

āñkheñ tumhārī jhapkīñ haiñ īdhar ko beshtar

tum in ishāratoñ se bulāte ho ham ko kyā

aaveñ hamārī gor meñ gar munkar-o-nakīr

itnā kaheñ: abhī se uThāte ho ham ko kyā

kar kabhī diyā hai koī phuul phal hameñ

tum sair-e-gulistāñ ko jo jaate ho ham ko kyā

kahte ho ek-ādh hai mere hāthoñ maut

ham bhī samajhte haiñ ye sunāte ho ham ko kyā

ham se to ab talak vahī sharm-o-hijāb hai

gar har kisī ke sāmne aate ho ham ko kyā

kahte ho roz ham se yahī kal ko aa.iyo

kyā ḳhū nikālī hai ye satāte ho ham ko kyā

denā hai koī bosa to de Dāliye miyāñ

kyuuñ paañv toḌte ho phirāte ho ham ko kyā

le le ke naam us jafāoñ 'mus.hafī'

ham aap jal rahe haiñ jalāte ho ham ko kyā

Top Urdushayar.com