Mushafi Ghulam Hamdani

maKHluq hun ya Khaaliq-e-maKHluq-numa hun

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824

maḳhlūq huuñ ḳhāliq-e-maḳhlūq-numā huuñ

ma.alūm nahīñ mujh ko ki maiñ kaun huuñ kyā huuñ

huuñ shāhid-e-tanzīh ke ruḳhsār parda

ḳhud mushāhid huuñ ki parde meñ chhupā huuñ

hai mujh se garebān-e-gul-e-sub.h mo.attar

maiñ itr-e-nasīm-e-chaman o bād-e-sabā huuñ

gosh-e-shunvā ho to mire ramz ko samjhe

haq ye hai ki maiñ sāz-e-haqīqat navā huuñ

hastī ko mirī hastī-e-ālam na samajhnā

huuñ hast to par hastī-e-ālam se judā huuñ

huuñ sīna-e-ushshāq meñ soz-e-jigar-o-dil

aur dīda-e-māshūqāñ meñ kyā nāz-o-adā huuñ

ye kyā hai ki mujh par mirā uqda nahīñ khultā

har-chand ki ḳhud uqda o ḳhud uqda-kushā huuñ

ai 'mus.hafī' shāneñ haiñ mirī jalvagarī meñ

har rañg meñ maiñ maz.har-e-āsār-e-ḳhudā huuñ

Top Urdushayar.com