Mushafi Ghulam Hamdani

har-chand bahaar o bagh hai ye

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
har-chand bahār o baaġh hai ye
par kis ko dil o dimāġh hai ye
hai buuñd araq kī zulf ke biich
yā gauhar-e-shab charāġh hai ye
kyā laale ko nisbat apne dil se
ya.anī ki tamām daaġh hai ye
dar-guzre ham aisī zindagī se
duniyā meñ agar farāġh hai ye
phir itnī darañg kyā hai saaqī
mai hai ye aur ayāġh hai ye
aisā gayā 'mus.hafī' jahāñ se
yaaro mire dil pe daaġh hai ye
jo phir na kahā kisū ne itnā
us gum-shuda kā surāġh hai ye
Top Urdushayar.com