har-chand  bahār  o  baaġh  hai  ye
par  kis  ko  dil  o  dimāġh  hai  ye
hai  buuñd  araq  kī  zulf  ke  biich
yā  gauhar-e-shab  charāġh  hai  ye
kyā  laale  ko  nisbat  apne  dil  se
ya.anī  ki  tamām  daaġh  hai  ye
dar-guzre  ham  aisī  zindagī  se
duniyā  meñ  agar  farāġh  hai  ye
phir  itnī  darañg  kyā  hai  saaqī
mai  hai  ye  aur  ayāġh  hai  ye
aisā  gayā  'mus.hafī'  jahāñ  se
yaaro  mire  dil  pe  daaġh  hai  ye
jo  phir  na  kahā  kisū  ne  itnā
us  gum-shuda  kā  surāġh  hai  ye